chappa-chappa ghum kar aane ki hasrat hai to hai dosto mirrikh par jaane ki hasrat hai to hai jo nahin paya use pane ki hasrat hai to hai dil hai diwana ye diwane ki hasrat hai to hai bagh se talta nahin kambakht mali hae hae tod kar khubaniyan khane ki hasrat hai to hai dhaul-dhappa mauj-masti shokhiyan atkheliyan apna karobar phailane ki hasrat hai to hai sham ko milna zara footbaal ke maidan mein ma'raka phir koi garmane ki hasrat hai to hai dad apne fan ki 'tariq' de padosi ya na de chhat pe aadhi raat ko gane ki hasrat hai to hai