hamara watan dil se pyara watan

By January 1, 2017
ye hindostan hai hamara watan
mohabbat ki aankhon ka tara watan
hamara watan dil se pyara watan
wo is ke darakhton ke tayyariyan


wo phal phul paude wo phul-wariyan
hamara watan dil se pyara watan
hawa mein darakhton ka wo jhumna
wo patton ka phulon ka munh chumna


hamara watan dil se pyara watan
wo sawan mein kali ghata ki bahaar
wo barsat ki halki halki phuwar
hamara watan dil se pyara watan


wo baghon mein koyal wo jangal ke mor
wo ganga ki lahren wo jamuna ka zor
hamara watan dil se pyara watan
isi se hai is zindagi ki bahaar


watan ki mohabbat ho ya man ka pyar
hamara watan dil se pyara watan
41800 viewsnazmEnglish