hamare KHwab raushan hain

By nazir-fatehpuriMay 13, 2022
andheron ke ghane sayon ka hum ko khauf kya hoga
rida-e-zulmat-e-nadida hum ko kya daraegi
andheri wadiyan mil kar kahan tak munh chadhaengi
siyah-bakhti muqaddar hai hamein kya din dikhaegi


hamare sar pe kitne azm ke mahtab raushan hain
hamari aankhen zinda hain hamare khwab raushan hain
hum apni naqidana kawishon ko jagmagaenge
hum apni nasr mein alfaz ka jadu jagaenge


ghazal ke rup mein ehsas ki shamen jalaenge
talash-e-raushni mein ab bhatakne ki zarurat kya
hum apne andarun se ek naya suraj ugaenge
tawanai qalam mein hai lahu mein aag raushan hai


hamara dard zinda hai hamare khwab raushan hain
71789 viewsnazmEnglish