tahni pe kisi shajar ki tanha bulbul tha koi udas baitha kahta tha ki raat sar pe aai udne chugne mein din guzara pahunchun kis tarah aashiyan tak har chiz pe chha gaya andhera sun kar bulbul ki aah-o-zari jugnu koi pas hi se bola hazir hun madad ko jaan-o-dil se kida hun agarche main zara sa kya gham hai jo raat hai andheri main rah mein raushni karunga allah ne di hai mujh ko mashal chamka ke mujhe diya banaya hain log wahi jahan mein achchhe aate hain jo kaam dusron ke