hamein mohabbat ki ijazat nahin hai

By omainuz-zahra-sayyadSeptember 28, 2023
din adhura tha aur
sham ki chae mein chini ki jagah
udasi ghol kar pi li hai
ruh pe raat utarne lagi hai


aankhen muntazir hain us khwab ki
jis ne
mujhe hijr ke mausamon mein
qadam rakhne pe majbur kiya


kahan jaante ho
sab kuchh hote hue bhi
khali daman rah jaane ka dukh
aansu dil pe jab raqs karen


to phir sabr ki aayat
hifz ho jati hain
mukhtasar ye ki
hamein mohabbat ki ijazat nahin hai


31054 viewsnazmEnglish