ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat hazaron sal ka bar-e-garan uthae hue jabin pe katib-e-taqdir ki jali tahrir gale se saikdon naqsh-e-qadam lagae hue guzarte waqt ke gard-o-ghubar ke niche hasin jism ki tabindagi chhupae hue guzishta daur ki tahzib ki manazil ko jawan man ki tarah god mein sulae hue ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat hazaron sal ka bar-e-garan uthae hue idhar se guzre hain changez-o-nadir-o-taimur lahu mein bhigi hui mishalen jalae hue ghulamon aur kanizon ke karwan aae khud apne khun mein dube hue nahae hue shikasta dosh pe diwar-e-chin ko lade saron pe misr ke ehram ko uthae hue jalal-e-shaikh-o-shikoh-e-barhamani ke julus hawas ke sinon mein aatish-kade chhupae hue jahaalaton ki tawil-o-ariz parchhain tawahhumat ki tarikiyan jagae hue safed qaum ke ayyar tajiron ke giroh fareb-o-makr se apni dukan sajae hue shikast-khurda siyasi gadagaron ke hujum adab se tuti hui gardanen jhukae hue ghamon se chur musafir thake hue rahi charagh-e-ruh ke dil ke kanwal bujhae hue ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat hazaron sal ka bar-e-garan uthae hue nae ufuq se nae qafilon ki aamad hai charagh-e-waqt ki rangin lau badhae hue baghawaton ki sipah inqalab ke lashkar zamin pe panw falak pe nazar jamae hue ghurur-e-fath ke parcham hawa mein lahraate sabaat-o-azm ke unche alam uthae hue hatheliyon pe liye aaftab aur mahtab baghal mein kurra-e-arz-e-hasin dabae hue utho aur uth ke inhen qafilon mein mil jao jo manzilon ko hain gard-e-safar banae hue qadam badhae hue hain mujahidan-e-watan mujahidan-e-watan hain qadam badhae hue