kal ek tu hogi aur ek main koi raqib-e-rafiq-surat koi rafiq-e-raqib-saman mere tere darmiyan na hoga hamari umr-e-rawan ki shabnam teri siyah kakulon ki raaton mein tar chandi ke gundh degi tere hasin aarizon ke rangin gulab bele ke phul honge shafaq ka har rang gharq hoga latif o pur-kaif chandni mein teri kitab-e-rukh-e-jawan par ki jo ghazal ki kitab hai ab zamana likkhega ek kahani aur an-ginat jhurriyon ke andar meri mohabbat ke sare bose hazar lab ban ke hans padenge hum apni biti hui shabon ki saloni parchhaiyon ko le kar hum apne ahd-e-tarab ki sham o sahar ki ranaiyon ko le kar purani yaadon ke jism-e-uryan ke waste pairahan bunenge phir ek tu hogi aur ek main koi raqib-e-rafiq-surat ko rafiq-e-raqib-saman mere tere darmiyan na hoga hawas ki nazron ko tere rukh par jamal-e-nau ka guman na hoga faqat meri husn-e-azmuda nazar ye tujh ko bata sakegi ki teri piri ka husn tere shabab se bhi hasin-tar hai