hichki

By ananth-faaniFebruary 5, 2024
tumhein ye gham hai ki ab chitthiyan nahin aati
hamari socho hamein hichkiyan nahin aati
charagh sharma
kabhi bhi kya socha hai ye tum ne


ki jo hai lahron ka yun machalna
nadi ka sagar ki samt chalna
darakht ka bij se nikalna
har ek pal waqt ka badalna


ye roz din raat ka guzarna
na ek mausam ka bhi thaharna
ujale daude jo ja rahe hain
kahin andhere mita rahe hain


jo salon salon lage hue hain
safar mein ab tak date hue hain
sitaron sayyaron sab ki gardish
unhen samajhne ki apni khwahish


dilon ke dhadkan ki ibtida bhi
tamam manzar ki intiha bhi
ye silsila sara
sab tasalsul mein hai jo


har kuchh
kisi ki hichki ka hai natija
ki yaad karta ho koi bite zamane ko
kaenat-bhar mein


ki jab nahin tha kuchh
us se pahle
jo tha wo kya tha
wo kaisa tha


kya wo aisa tha
jaisa hai abhi sab
ek 'arse se mujh ko hichki aai nahin hai
tum to rahe mujhe yaad karne se


aaine ko takta hun roz
khud ko hi yaad aa jaun main kabhi to
aur ek hichki nikal pade phir
52232 viewsnazmEnglish