naqus se gharaz hai na matlab azan se hai mujh ko agar hai ishq to hindostan se hai tahzib-e-hind ka nahin chashma agar azal ye mauj-e-rang-rang phir aai kahan se hai zarre mein gar tadap hai to is arz-e-pak se suraj mein raushni hai to is aasman se hai hai is ke dam se garmi-e-hangama-e-jahan maghrib ki sari raunaq isi ek dukan se hai