chishti ne jis zamin mein paigham-e-haq sunaya nanak ne jis chaman mein wahdat ka git gaya tatariyon ne jis ko apna watan banaya jis ne hijaziyon se dasht-e-arab chhudaya mera watan wahi hai mera watan wahi hai yunaniyon ko jis ne hairan kar diya tha sare jahan ko jis ne ilm o hunar diya tha mitti ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha turkon ka jis ne daman hiron se bhar diya tha mera watan wahi hai mera watan wahi hai tute the jo sitare faras ke aasman se phir tab de ke jis ne chamkae kahkashan se wahdat ki lai suni thi duniya ne jis makan se mir-e-arab ko aai thandi hawa jahan se mera watan wahi hai mera watan wahi hai bande kalim jis ke parbat jahan ke sina nuh-e-nabi ka aa kar thahra jahan safina rifat hai jis zamin ki baam-e-falak ka zina jannat ki zindagi hai jis ki faza mein jina mera watan wahi hai mera watan wahi hai