main apne aap gum summun udas wamanda ye sochta hun ki kya haq hai mujh ko jine ka na mahtab mera hai na aaftab mera na din ke rang mere hain na lutf-e-khwab mera koi qarib se dekhe to mere daman mein shikayaten bhi bahut hain mohabbaten bhi bahut riwayaten bhi bahut hain baghawaten bhi bahut phir ek sawal hai bedar shab ke aangan mein jo khud hi jag raha ho udas bistar par wo shab ke rengte lamhat se kahe kyunkar siyah raat hai aao lipat ke so jao ufuq ke par nigar-e-sahar ko kya malum dayar-e-shab mein guzarti hai zindagi kaise main in ko apne ghamon ka gawah kaise karun nashat-e-zist jo samjhen meri mashaqqat ko misal-e-reg bikharte hue badan ke siwa tamam din ki thakan ka koi gawah nahin mujhe hawa-e-sar-e-rah-guzar pasand sahi magar hawa-e-sar-e-rah-guzar mere haq mein sumum-e-tana-o-dushnam le ke aai hai meri sahar ke liye sham le ke aai hai khulus-o-rishta-e-mehr-o-wafa se kya hasil kuchh aur chahiye is ahd ki mohabbat ko kahun to kis se kahun ai mere but-e-masum mata-e-qalb-o-nazar haar kar hua malum fareb thin teri banhen sarab the tere hont jab aansuon pe mata-e-wafa ka dhoka tha to reg-e-dasht ke manind khushk thin aankhen ab aansuon ki koi qadr hai na qimat hai to ashk-bar hi rahne lagi hain aankhen bhi main sochta hun mujhe hazm-o-ehtiyat se kya ye zindagi jo dobara nahin milegi mujhe guzar dunga yunhi ghum phir ke sadkon par mere liye yahi gham hain yahi masail hain main raegan hun ki hun kaamran nahin malum yahi hai jurm mera hai yahi khata meri rahun hawa ki tarah dasht-o-dar mein aawara kabhi hun jang pe nadim kabhi hai sulh se khauf ye jang-o-sulh ka mafhum aaj-kal kya hai isi khayal mein jis waqt nind aati hai mere lahu mein meri sans mein mere dil mein ghamon ki ajnabi zanjir khadkhadati hai main khauf-e-habs se yak-lakht jag uthta hun ye sochta hun ki bedariyon mein aalam-e-khwab azab hai nafas-e-atish-ashna ka azab mera sukun kisi mujrim ki mohlat-e-tazir meri khushi kisi qaidi ka mehman jaise mera wajud guzarta hua dhuan jaise khud apne aap pe ab yun mujhe tassuf hai tamam umr raha hun main raegan jaise