phir aan ke ishrat ka macha dhang zamin par aur aish ne arsa hai kiya tang zamin par har dil ko khushi ka hua aahang zamin par hota hai kahin rag kahin rang zamin par bajte hain kahin tal kahin zang zamin par holi ne machaya hai ajab rang zamin par ghungru ki padi aan ke phir kan mein jhankar sarangi hui bin tamburon ki madad-gar tablon ke thuke tabl ye sazon ke baje tar ragon ke kahin ghul kahin nachon ke bandhe tar dholak kahin jhankare hai mirdang zamin par holi ne machaya hai ajab rang zamin par masti mein utha aankh jidhar dekho ahaha nache hai tawaif kahin matke hai bhawayya chalte hain kahin jam kahin swang ka charcha o rang ko galiyon mein jo dekho to har ek ja bahti hain umand kar jaman-o-gang zamin par holi ne machaya hai ajab rang zamin par bhage hai kahin rang kisi par jo koi dal wo potli mare hai use daud ke filhaal ye tang ghasite hai to wo khinche pakad baal wo hath marode to ye tode hai khada gal is dhab ke har ek ja pe mache dhang zamin par holi ne machaya hai ajab rang zamin par baithe hain sab aapas mein nahin ek bhi kadwa pichkari utha kar koi jhamkawe hai khadwa bharte hain kahin mushk kahin rang ka gadwa kya shad wo hota hai jise kahte hain bhadwa sunne mein yahan tak nahin ab nang zamin par holi ne machaya hai ajab rang zamin par holi ki 'nazir' ab jo bahaaren hain ahaha mahbub rangilon ki qataren hain ahaha kapdon pe jami rang ki dhaaren hain ahaha sab holi hai holi hi pukare hain ahaha kya aish hai kya rang hai kya dhang zamin par holi ne machaya hai ajab rang zamin par