holi

By nazeer-akbarabadiMarch 19, 2024
miyan tu hum se na rakh kuchh ghubar holi mein
ki ruthe milte hain aapas mein yar holi mein
machi hai rang ki kaisi bahaar holi mein
hua hai zor-e-chaman aashkar holi mein


ajab ye hind ki dekhi bahaar holi mein
ab is mahine mein pahunchi hai yan talak ye chaal
falak ka jama pahan surkhi-e-shafaq se lal
bana ke chand ke suraj ke aasman par thaal


farishte khelen hain holi bina abir-o-gulal
to aadmi ka bhala kya shumar holi mein
suna ke holi jo zohra bajati hai tambur
to us ke rag se barah buruj hain mamur


chhuon sitaron ke upar pada hai rang ka nur
sabhon ke sar pe ye har dam pukarti hai hur
jo ghir ke abr kabhi is maze mein aata hai
to baadalon mein wo kya kya hi rang lata hai


khushi se rad bhi dholak ki gat lagata hai
hawa ko holiyan ga ga ke kya nachata hai
tamam rang se pur hai bahaar holi mein
chaman mein dekho to din raat holi rahti hai


sharab-e-nab ki gulshan mein nahr bahti hai
nasim pyar se ghunche ka hath gahti hai
to baghban se bulbul khadi ye kahti hai
na chhed mujh ko tu ai bad-shiar holi mein


gulon ne pahne hain kya kya hi jode rang-ba-rang
ki jaise ladke ye mashuq pahante hain tang
hawa se patton ke bajte hain tal aur mirdang
tamam bagh mein khelen hain holi gul ke sang


ajab tarah ki machi hai bahaar holi mein
amir jitne hain sab apne ghar mein hain khush-haal
qabaen pahne hue tang tang gul ki misal
bana ke gahri tarah hauz mil ke sab filhaal


machae holiyan aapas mein le abir-o-gulal
bane hain rang se rangin nigar holi mein
ye sair holi ki hum ne to biruj mein dekhi
kahin na howegi is lutf ki miyan holi


koi to duba hai daman se le ke ta choli
koi to murli bajata hai kah kanhaiya ji
hai dhum-dham pe be-ikhtiyar holi mein
gharon se sanwari aur goriyan nikal chaliyan


kusumbi odhni aur mast kurti uchhalyyan
jidhar ko dekhen udhar mach rahi hain rang-raliyan
tamam brij ki pariyon se bhar rahin galiyan
maza hai sair hai dar har kanar holi mein


jo kuchh kahani hai abla bahut piya mari
chali hai apne piya pas le ke pichkari
gulal dekh ke phir chhati khol di sari
piya ki chhati se lagti wo chaw ki mari


na tab dil ko rahi ne qarar holi mein
jo koi siyani hai in mein to koi hai na-kunad
wo shor-bor thi sab rang se nipat yak chand
koi dilati hai sathin ko yar key saugand


ki ab to jama-o-angiya ke tole hain sab band
phir aa ke khelenge ho kar do-chaar holi mein
'nazir' holi ka mausam jo jag mein aata hai
wo aisa kaun hai holi nahin manata hai


koi to rang chhidakta hai koi gata hai
jo khali rahta hai wo dekhne ko jata hai
jo aish chaho so milta hai yar holi mein
33114 viewsnazmEnglish