ajib rang se aai bahaar holi mein zamin-e-hind bani lala-zar holi mein bas ab to sar hai kadhai mein pancho ghi mein hain bade maze ke hain lail-o-nahaar holi mein har ek hai be-khud-o-sarshaar mast-o-diwana baghair-e-dukhtar-e-raz hai khumar holi mein piye hue hain sabhi aaj to mai-e-holi bahak raha hai har ek baada-khwar holi mein kisi ko galiyan din aur kisi ko thonk diya ye chhod rakkhe hain kaise bijar holi mein bashar ka zikr hi kya mast dasht-o-sahra hain khushi se jhumte hain kohsar holi mein uchhalte kudte hain nachte hain pi pi kar khud apne chaak bane hain kumhaar holi mein kahan ke saghar-o-mina kahan ke jam-o-subu tum ok se piyo le ke udhaar holi mein nasim-e-mast ke sadqe sharab ke qurban lagate hain wo gale bar bar holi mein samajh lo apna hi ghar is gharib-khane ko bala se gar nahin milte kahaar holi mein kaha jo marte hain tum par to hans ke farmaya maren tumhaare adu dur par holi mein 'zarif' dekho to kaisi machai hai udham phudak rahe hain ye kaise chamar holi mein