har nazm duniya ki khub-surati mein izafa karti hai har paida hone wali bachchi ki tarah magar hum apni zindagi daur-e-jahiliyyat mein ji rahe hain jo samajh nahin aatin un nazmon ko zinda dargor kar dete hain aur hamein wo paighambar bhi nahin milta ki jis ke samne apne gunah ka e'tiraf karen aur us ki dadhi bhigo den kal ek nazm hui lekin post karte hi hata li main ne jaane kyon