hum jaise ji rahe hain hum ko waise jine do ye jo aagahi ke dukh hote hain wo ruh ko zakhmi kar dete hain aur ab tak sirf jismon ke ilaj ki research hui hai aur wo research bhi kya ki doctors ek maraz durust kar ke dusra maraz uga dete hain ye jo aagahi hai ye to nasur se bhi bad-tar hai ye to hanste baste insan ko rula deti hai ujad deti hai ye jo andhera hai na jahaalat ka wo fil-waqt kitna sukun-bakhsh hai bachpan ke khilaunon se ji bahlane jaisa ye jo duniya hai na is ke kya kya azab hain kahan kahan jangen ho rahi hain aur us ke muharrikat kya kya hain insan hi insan ko mar rahe hain ye jo kaenat hai na is mein kitna pani bacha hai kitni oxigen baqi hai kitne sayyare khalaon mein zamin ko khane ke liye ghum rahe hain ye jo aagahi hai na ye to jite-ji mar rahi hai ab hum jite kab hain hum to jine ke liye falsafe bante rahte hain hum to jine ke liye sayyare dhundte rahte hain hum to jine ki adakari karte hain hum ko aagahi na do