na duniya ka hum mal-o-zar mangte hain kisi se na alqab-e-sir mangte hain na pokhraj lal-o-gohar mangte hain sharafat ka jina magar mangte hain hamein jazba-e-hubb-e-qaumi ata kar yahi haq se sham-o-sahar mangte hain mila de jo sinon mein dil zalimon ke wo aahon mein apni asar mangte hain bigadne ki to baat hi kuchh nahin hai huzur hum to apna hi ghar mangte hain bata qaum-e-ghafil ye kya majra hai tere bachche kyon dar-ba-dar mangte hain 'ali' jaan lo wo hain dushman watan ke jo un se karam ki nazar mangte hain