hum napte rahte hain roz

By azra-abbasApril 23, 2021
maut hum se kitni dur hai
ek inchi-tape kharid kar lae hain hum
aur farzi fasle se maut ko
apne aap se napte hain


din ko good-morning kahte hue
suraj ki raushni se hum puchhte hain
aaj kya hamara number hai
suraj khilkhilata hai hamari buzdili par


hamein us ki hansi zahr lagti hai
lekin hum sharma huzuri mein
us ke sath dant nikal kar hanste hain
phir hum us qabristan mein jate hain


jahan hum ko dafn kiya jaega
aur dekhte hain
kya koi jagah baqi hai
qabristan to pata hua milta hai


hum khush hote hain
marne wale hamein nahin marenge
jab un ko ye pata hoga ki
qabristan mein ab jagah nahin rahi


hum lahakte hue qabristan se bahar aa gae
magar raste mein
ek goli hamein thumakti hui nazar aai
hum sadak par lete hue


soch rahe the
apni aakhiri sans ke darmiyan
is ko malum nahin tha kya
qabristan mein ab jagah nahin hai


49748 viewsnazmEnglish