huruf o alfaz ke zakhire yahi hain wo daere ki jin mein asir tum bhi ho aur main bhi tumhaara jo nam chand harfon se mil ke banta hai chahe mafhum us ka kuchh bhi ho chahe mafhum se wo khali ho chahe us kaifiyat ke bar-aks ho jo tum mein numud pati hai aisi ek ruh jo kisi jism mein kisi aaina mein utri ho ek paikar mein dhal gai ho mera bhi ek nam hai usi nam se log mujhe jaante hain ye nam bhi chand alfaz ko milane se ban gaya hai ab is ka kiya zikr mujh pe ye kitna saj raha hai to kya hamara tumhaara sambandh itna hi hai ki chand alfaz chand alfaz se mil rahe hain magar isi nam ke to kuchh aur log honge agar na honge to kal isi nam ke aur kai log honge agar hamara wajud in se kuchh mawara hai huruf o alfaz se siwa hai to us ke izhaar ka aur dhang kya hai