tu ki shahkar-e-sanna'-e-har-awwalin tu bayan mein nahin dastaras mein nahin husn kafir tera aankh tauba-shikan daw par lag gae jaan-o-iman bhi tu dalil-e-sahar sham'-e-bahr-o-bar rah-e-iman bhi rang-e-wijdan bhi teri aankhon mein dair-o-haram qaid hai jam-e-gulfam kya jam-e-jam qaid hai gahe rang-e-ghilaf-e-haram ho gain gahe rang-e-hina dam-ba-dam ho gain gahe kitnon ko bhatka diya rah se gahe ye manzilon ka 'alam ho gain teri palken jhukin chand dhalne lage sham hone lagi zakhm jalne lage sahira phir tera sehr hone laga log girne lage hosh udne lage tera rukhsar hai chandni ki haya dudh mein jaise sindur ghulne laga tere rukhsar rang-e-shafaq ho gae ya'ni ye sha'iri ke ufuq ho gae kis ko tashbih dun isti'ara karun lab ko lab ke liye hi gawara karun hont kya aayaten hain ye quran ki jaan hain jaan-e-jaan ye teri jaan ki un se chhu len to alfaz khushbu banen qahqahe nur ban jaen jadu banen shabnami pankhudi pankhudi hain faqat aur kya main kahun zindagi hain faqat sochta hun to kuchh socha jata nahin husn tera to ab dekha jata nahin ya'ni 'jawed-akhtar’ ne sach hi kaha husn-e-jaanan ki ta'rif mumkin nahin husn-e-jaanan ki ta'rif mumkin nahin