husn
By prem-pal-ashkJanuary 4, 2024
chal padi athkheliyan karti hui baad-e-nasim
ek kali ghuncha bani ghuncha chatak kar gul bana
khud-ba-khud karne laga wo apne khaliq ki sana
zarre zarre ko jagane aai gulshan mein shamim
dali dali khud-ba-khud deti hai masti ka payam
munh shagufe ka koi chupke se aa kar dho gaya
patta patta khud-ba-khud hi kho ke kuchh pane laga
bute-bute ne nihaara apna husn-e-na-tamam
ek titli kar rahi hai aa ke sausan se sawal
aankh munde so raha hai aaj nargis ka shu'ur
motiya champa chanbeli apni duniya se hain dur
ai sakhi mujh ko bata de husn ka kya hai maal
phul ki patti pe dekha main ne shabnam ka shabab
le uda surkhi safedi subh-e-nau ka aaftab

39823 viewsnazm • English