jise tum huzn kahte ho kabhi us mein dub kar us ki sohbat aur aashnaiyon se ham-kanar hue ho huzn hamein khushiyon se dur us duniya mein le jata hai jo sirf masarraton ke ruth jaane se milti hai wo masarraton ki tarah arzan nahin na ye huzn jagah jagah bikhra hua hai ye ek kaifiyat hai jo tere mere dil ke nihan-khanon mein poshida rahti hai us ki sarshaari mein dubne ka lamha bhi ajib hota hai ye jaante hue bhi ki use kisi alamiye ne janm diya hai hum use apne hi lahu se sinchte rahte hain giraftar-e-huzn ki kaifiyat bhi ajib hai khushiyon ka arman liye hue bhi insan huzn ki siyah aur thandi barishon mein der tak khud ko bhigona chahta hai