hyderabad dil ki surat hai dil dhadakta hai sans chalti hai aarzu zindagi ki palti hai hyderabad ek mohabbat hai hyderabad hai quli ka dil jis mein milta hai husn-e-bhag-mati aur is sahr-e-sher-o-naghma ki zindagi hai ki pyar ki sil qibla-e-dil kahunga main is ko hyderabad hai watan mera rashk-e-jannat hai ye chaman mera ye nahin hai to kya hai tum hi kaho zakhm ulfat ka bhar nahin sakta hyderabad mar nahin sakta