ibn-e-adna
By abid-razaJanuary 14, 2025
koh-e-almas par
mausamon aur rangon ke jadu bhare des mein
ibn-e-adna ko ek bar phir se bulaya gaya
ibn-e-adna ki apne kamal-e-mahaarat mein be-misl tha
ek amboh us ke fusun ki ita'at mein tha
dewtaon ka wo ladla
qaum ki rahbari us ke hisse mein thi
khilqat-e-shahr sab us ke halqe mein thi
be-zaban
khilqat-e-shahr-e-azurdagan
aasman se utari gai mushkilon se nabard-azma nim-jaan
apni haalat pe nauha-kunan
aur wo
har nafas dewtaon ki hamd-o-munajat mein musta'id
ek nurani bahrup
jis ke tawassul se is shahr-e-zulmat mein
mushkilon ke khudaon ki sari khudai
bahut shan se
zindagi ke shajar se kharaj-e-musalsal talab kar rahi thi
ibn-e-adna ne nichi nigahon se kul dewtaon ko ta'zim di
dil mein aai ki main markaz-e-ta'at-o-zuhd hun
main zamin par khudaon ka naeb hun
aur qadr-o-qimat mein nayab hun
khilqat-e-'am bhi mere jadu ki mutthi mein hai
khilqat-e-'am jis ke lahu aur pasine se
in ma'badon aur mahlon ki inton ka gara banaya gaya
ek lamhe ko kuchh yaad aaya
magar
is se pahle ki harf-e-talab
aur harf-e-shikayat ki talkhi zaban-gir ho
ek aahat hui
mahzar-e-khas ke dar pe
donon taraf
us ke jaise
kai ibn-e-adna
mahaz ek ishaare pe
khalq-e-khuda ke lahu se
mahallat ke baam-o-dar pe nai naqsh-arai ke muntazir
dast-basta dikhai diye
aur wo
be-jhijhak sajda-e-shukr mein gir gaya

41314 viewsnazm • English