gulshan-e-zist pe pur-kaif ghata chhai hai rukh pe har phul ke ek husn hai ranai hai ab kali firqa-parasti ki hai murjhai hai har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai aaj ka din hai har ek mazhab-o-millat ke liye rang-raliyon ke liye aur mohabbat ke liye aaj ke roz se dushman bhi saga bhai hai har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai naqsh izhaar-e-mohabbat ka ubhar jata hai id aati hai to mahaul sanwar jata hai id makhsus ibaadat ka maza lai hai har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai aaj ki raat se chhante hue anwar-e-sahar bhai-chaare ki faza dekh ke ta-hadd-e-nazar ruh zulmat-kada-e-dahr ki tharrai hai har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai jagmagate hue bachchon ke rangile kapde aur zaifon ke jawanon ke sajile kapde jin se rangini-e-gulzar bhi sharmai hai har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai masjiden markaz-e-sajda hain musalmanon ka id-gahen hain ki sailab hai insanon ka rahmat-e-haq hai jo mahaul pe lahrai hai har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai dur tak gham ka kahin nam nahin milta hai har taraf aish-o-masarrat ka yaqin milta hai sham mustaqbil-e-rangin ki khabar lai hai har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai raqs karti hui har samt masarrat ki bahaar dost ahbab ke jhurmut wo rafiqon ki qatar aaj tanhai ne mahfil ki jagah pai hai har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai dosti amn sharafat ka badhae hue hath hum gale milte hain badh kar ke bade pyar ke sath jaise har shakhs se barson ki shanasai hai har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai