id ke roz gale kis ko lagae koi wo na hon pas to kya id manae koi pas hote bhi agar mere to hasil kya tha un ko ye zid hai gale se na lagae koi dil ke dam se hai khushi aur dil un ke dam se dil ho viran to kya dhum machae koi khud to aate nahin aur yaad chali aati hai id ke roz mujhe yun na satae koi lazzat-e-wasl mayassar jo nahin id ke din hai gham-e-hijr ko sine se lagae koi qurb tha bais-e-azar to phir ai dil-e-zar dur rah kar bhi mujhe yaad na aae koi id ke roz masarrat ka taqaza hai ki aaj dil ki ujdi hui nagri ko basae koi id ka roz bhi har din ke barabar hai mujhe id ke roz bhi gar munh na dikhae koi kash ek bar wo is shan se aa jaen 'jalil' ghaur karne pe bhi pahchan na pae koi