id

By maikash-akbarabadiJune 4, 2021
ai jamal-e-dost teri did honi chahiye
gham-zadon ki bhi to aakhir id honi chahiye
jab nahin hai aap ko tark-e-talluq ka khayal
aap hi ke qaul se tardid honi chahiye


manta hun main ki be-shak qaul ke sachche hain aap
lekin apne ahd ki tajdid honi chahiye
meri jaanib se sahi tahrik-e-takmil-e-wafa
lekin is ko aap ki taid honi chahiye


aap ne tanqis kar di dastan-e-shauq ki
mera ye arman tha tanqid honi chahiye
har qadam par rah-raw-e-ulfat ko manzil ke liye
shauq hona chahiye ummid honi chahiye


jo bayan izhaar-e-harf-e-muddaa par khatm ho
us ki bilkul mukhtasar tamhid honi chahiye
hum ko bhi malum ho kin se hai raunaq bazm ki
aap ke ahbab ki tafrid honi chahiye


aap jab chahen mere chullu mein talchhat dal den
kab kaha tha mahfil-e-jamshid honi chahiye
sajda-rezi ke liye is rahguzar mein ai jabin
naqsh-e-pa-e-dost ki taqlid honi chahiye


91147 viewsnazmEnglish