kaho ye mughanni se gae chala ja nawa-e-masarrat sunae chala ja masarrat ke muzhde ko lae chala ja zamane ko be-khud banae chala ja zamane pe chhai hai id-e-masarrat dulhan ban ke aai hai id-e-masarrat munasib hai kuchh intizam-e-masarrat karun khalq ko shad-kaam-e-masarrat liye jaun main dil se nam-e-masarrat salam-e-masarrat kalam-e-masarrat masarrat bhi apni jagah jhumti hai qadam id ka ab khushi chumti hai watan ki mohabbat ke naghme ko ga kar harifon ko apne gale se laga kar mohabbat se ghairon ko qabu mein la kar jo ruthe hue hain unhen bhi mana kar manao khushi id ki roza-daro dikhao khushi id ki roza-daro