bayaz-e-zindagi mein amn ka waraq hi saf hai ye aafiyat ka qasr hai aur qasr mein shigaf hai zamin pe aasman nahin ye zulm ka ghilaf hai hamein ye zulm mein ati faza se ikhtilaf hai karishma-gar nigah se hamein koi gharaz nahin bahana-saz aah se hamein koi gharaz nahin numaishi karah se hamein koi gharaz nahin hamein gali-sadi hui wafa se ikhtilaf hai kahin hai intiha-pasand khu ki nagawar bu kahin hai sard hastiyon pe kanpti rida-e-khu kahin hawas mein kami kahin hawas mein ghulu hamein to asr-e-haal ki hawa se ikhtilaf hai wahan to fauj-e-misr hai yahan nahin koi asa mukhalifat mein hosh rakh na is tarah se josh kha baghaur dast-o-bazu-e-adu ko dekh le zara hamein teri ghutti hui sada se ikhtilaf hai shuur-e-din se jabr-e-narawa ki bag mod de sukun-o-agahi se do dilon ka rabt jod de salamti se panja-e-sitam ka zor tod de hamein teri tuti hui asa se ikhtilaf hai