mujhe aur tumhein koi dar nahin na koi wada-wafa karna hai na koi ummid-e-charagh jalana hai ek shadi thi farsuda rasm zamane ki wo marhala bhi tai kar chuke hum apni apni jagah hum kitne mutmain hain ab milne bichhadne ka azab hai kab ab justuju visal kaisa ab lazzat-e-lams ki kise tamanna na zamane ki fikr na logon ka khauf hum in tamam jazbon se kitne aage nikal gae hain na hathon ki poron mein simat aae hain tum lamha lamha mera ang ang chhute ho main bhi apne sirhane tumhaare lafz piti hun ungli ke ek ishaare par duniya kitni simat aai hai hum ko kitna qarib le aai hai aur mujhe aur tumhein kisi ka dar nahin hai kyun ki main ne bhi apne mobile ka password kisi ko nahin bataya