ilham

By mehr-husain-naqviFebruary 27, 2024
jaise palkon pe utarta hua ek khwab-e-hasin
ek machalta hua honton pe ho misra' jaise
ek ghazal surat-e-ilham utarti jae
jaise pani mein utarta hua ek


chand ka 'aks
ek musawwir ka banaya hua shahkar-e-hasin
ya samundar mein utarta hua suraj ho kahin
ya gulabon ki bikharti ho faza mein khushbu


lamha-e-shukr mein nikle hon khushi ke aansu
magar in sab se kahin badh ke
hasin ek khayal
dil pe utra hai to ehsas mein


shiddat jagi
zindagi le ke kai rang sukhan-zar hui
qafiya le ke ghazal dil pe numudar hui
is se badh kar bhala duniya mein


hasin kya hoga
'ishq jab surat-e-ilham utarta
jae
23064 viewsnazmEnglish