ilm

By farooq-shakeelNovember 14, 2021
ilm hai insan ki tahzib-o-tamaddun ke liye
ye nahin insani qadron ke talawwun ke liye
ilm hai aapas mein ikhlas-o-ukhuwwat ke liye
ye nahin auron ke nuqsan-o-halakat ke liye


ilm hai insan ki bahbud-o-baqa ke waste
ye nahin insaniyat ki ibtila ke waste
ilm hai insan ki khud-agahi ke waste
aur insanon mein bhai-chaargi ke waste


ilm se raushan-khayali aati hai insan mein
pukhtagi akhlaq mein to tazgi iman mein
ilm badhta hai koi us ko ghata sakta nahin
ye wo daulat hai jise koi chura sakta nahin


ilm ko phailaiye achchhe maqasid ke liye
taki duniya ki taraqqi ka nishana badh sake
ilm chadhta aaftab aur ilm hai baad-e-murad
ilm zindabaad is ki aagahi painda-baad


90944 viewsnazmEnglish