ilm-o-mohabbat

By jameel-ahmad-jaisiJanuary 15, 2022
bahut baha hai zamane mein khun insan ka
karo kuchh aisa ki dushman na koi qatil ho
ajib daur hai duniya mein kam-nigahi ka
koi to nuh sa nikle kahin to sahil ho


jahan bhi dekho jamaya hai dera ghasib ne
yahan pe kash koi haq-parast-o-adil ho
har ek samt hukumat hai dushman-e-adam
koi to fateh-e-zulm aur radd-e-baatil ho


nahin hai sher mein ishq-o-wafa sadaqat kuchh
koi ho 'ghaalib'-o-'iqbaal' koi 'bedil' ho
jalao ilm-o-mohabbat ki wo hasin shamen
na koi dushmani rakkhe na koi jahil ho


56041 viewsnazmEnglish