dekhta hai kaun sahra ke bagulon ki taraf jo nazar uthti hai bas jati hai phulon ki taraf aish mein rah kar hamein kuchh bhi khayal-e-gham nahin muskurahat lab pe hai aankhen magar pur-nam nahin dekhta us ke karishme kis ko itna hosh tha patti patti dam-ba-khud thi gul chaman khamosh tha mahw-e-nazzara thin aankhen dil mein tari be-khudi mujh ko diwana kiye deti thi phulon ki hansi dekhti thi main bhi ye husn-e-chaman rang-e-bahaar na-gahan aai sada-e-dil ki ghafil hoshiyar khol aankhen dekh apne muslimon ka haal-e-zar un ko to un kafir yahudon ne banaya hai shikar in mazalim par bhi tu sarshaar hai madhosh hai masjidon mein jaanwar bandhte hain tu khamosh hain nam ko baqi nahin islam ka izz-o-waqar teri aankhon se magar jata nahin ab tak khumar hum hain haalanki bahut ye ho chuka hai inqalab sun rahe hain dastan-e-gham magar kya den jawab ho ke paband-e-hukumat kis qadar majbur hain yani koson hum arab ki manzilon se dur hain huk uthti hai ye sun mere dil-e-nakaam mein paltanen kuffar ki hon khana-e-islam mein