zamane ki hawa badli udhar rang-e-chaman badla gulon ne jab rawish badli anadil ne watan badla tariqa aashnai ka kabhi aisa na badla tha ki chaal ushshaq ne badli hasinon ne chalan badla badalte aae hain yun to hamesha daur gardun ke na aisa bhi ki hum badle hamara kul jatan badla maqasid mazhab o millat ke badle daur-e-alam ne sahaif ki sharh badli kitabon ka matan badla badal dala hai aisa maghribi tahzib ne hum ko mazaq-e-khwan-e-nemat aur tarz-e-pairahan badla purani chaal be-dhangi hamari dekhen kab badle abhi tak jug hi badle the ghazab ye hai qaran badla na badla par na badla hae tarz-e-muasharat qaumi agarche sari duniya ka hunar aur ilm-o-fan badla nizam-e-shaeri mein hae aaya inqalab aisa ki shan-e-nazm badli aur andaz-e-sukhan badla saliqa intiqad-e-jins-e-hirfat ka nahin hum ko zar-e-khalis se abresham-numa europe ne san badla na badla hai na badlega faqat qanun-e-islami 'qamar' jab tak ki qudrat ne na ye charkh-e-kuhan badla