ranbhumi mein ladte ladte main ne kitne sal ek din jal mein chhaya dekhi chatte ho gae baal papad jaisi huin haddiyan jalne lage hain dant jagah jagah jhurriyon se bhar gai sare tan ki khaal dekh ke apna haal hua phir us ko bahut malal are main budhiya ho jaungi aaya na tha khayal us ne socha gar phir se mil jae jawani jis ko likhte hain diwani aur mastani jis mein us ne inqalab lane ki thani wahi jawani ab ki bar nahin dungi koi qurbani bas la-haul padhungi aur nahin dungi koi qurbani dil ne kaha kis soch mein hai ai pagal budhiya kahan jawani yani us ko guzre ab tak kafi arsa bit chuka hai ye khayal bhi der se aaya bas ab ghar ja budhiya ne kab us ki mani haalanki ab wo hai nani zahir hai ab aur wo kar bhi kya sakti thi aasman par lekin tare aankh-micholi khel rahe the raat ke panchhi bol rahe the aur kahte the ye shayad us ki aadat hai ya shayad us ki fitrat hai