intizar
By faiz-ahmad-faizNovember 9, 2020
guzar rahe hain shab o roz tum nahin aatin
riyaz-e-zist hai aazurda-e-bahaar abhi
mere khayal ki duniya hai sogwar abhi
jo hasraten tere gham ki kafil hain pyari
abhi talak meri tanhaiyon mein basti hain
tawil raaten abhi tak tawil hain pyari
udas aankhen teri did ko tarasti hain
bahaar-e-husn pe pabandi-e-jafa kab tak
ye aazmaish-e-sabr-e-gurez-pa kab tak
qasam tumhaari bahut gham utha chuka hun main
ghalat tha dawa-e-sabr-o-shakeb aa jao
qarar-e-khatir-e-betab thak gaya hun main

59052 viewsnazm • English