intizar

By v.-sudhakar-raoFebruary 8, 2022
aasman par nikal raha mahtab
din ke daftar pe lag raha tala
ghonslon ko parinde laut rahe
zina zina andhera badhta hua


aur main hun qatar mein ab tak
bijli pani
na rozgar koi
ghar ka rashan na koi dawe-dar


ahd-dar-ahd
par karta hua
wadi-e-dard se guzarta hua
batn se walida ki hote hue


kokh mein aa gaya hun beti ki
ai khuda
mera janm kab hoga
74450 viewsnazmEnglish