iqbaal se ham-kalami

By shorish-kashmiriNovember 21, 2020
kal azan-e-subh se pahle faza-e-quds mein
main ne dekha kuchh shanasa suraten hain ham-nashin
the hakim-e-sharq se shaikh-e-mujaddid ham-kalam
gosh-bar-awaz sab danish-waran-e-ilm-o-din


bul-kalam-'azad' se 'ghaalib' the masruf-e-sukhan
'mir' o 'momin' daur-e-hazir ki ghazal pe nukta-chin
is se kuchh hat kar gulabi shakh-chon ki chhanw mein
the waliullah ke farzand nukta-afrin


istada sarw ke sae mein the maula-e-rum
jin ke farmudat mein muzmar hain aayat-e-mubin
soch mein dube hue the 'haali'-e-darwesh-khu
bandh kar baithe halqa shibli-e-ahd-afrin


main ne badh kar murshid-e-iqbaal se ye arz ki
aap ko hum tira-bakhton ki khabar hai ya nahin
dil-shikasta ho ke farmaya mujhe malum hai
be-yad-e-baiza hai piran-e-haram ki aastin


saltanat le kar khuda o mustafa ke nam par
ab khuda o mustafa ki rah par koi nahin
hai abhi shahbaz ki ghairat par kargas khanda-zan
hai wahi sarmaya-dari banda-e-momin ka din


is se badh kar aur kya fikr o amal ka inqalab
padshahon ki nahin allah ki hai ye zamin
kaun samjhae andheri raat ko aain-e-mahr
wae bad-bakhti ki khud momin hai mahrum-e-yaqin


khun de kar khana-e-sayyaad ko raushan karo
jao mashriq ke kharab-abaad ko raushan karo
74559 viewsnazmEnglish