is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana ek nar pe jaan ko haar gaya mashhur hai us ka afsana us nar mein aisa rup na tha jis rup se din ki dhup dabe is shahr mein kya kya gori hai mahtab-rukhe gulnar-labe kuchh baat thi us ki baaton mein kuchh bhed the us ki chitwan mein wahi bhed ki jot jagate hain kisi chahne wale ke man mein use apna banane ki dhun mein hua aap hi aap se begana is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana na chanchal khel jawani ke na pyar ki alhad ghaten thin bas rah mein un ka milna tha ya phone pe un ki baaten thin is ishq pe hum bhi hanste the be-hasil sa be-hasil tha ek zor bipharte sagar mein na kashti thi na sahil tha jo baat thi in ke ji mein thi jo bhed tha yaksar an-jaana is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana ek roz magar barkha-rut mein wo bhadon thi ya sawan tha diwar pe bich samundar ke ye dekhne walon ne dekha mastana hath mein hath diye ye ek kagar par baithe the yun sham hui phir raat hui jab sailani ghar laut gae kya raat thi wo ji chahta hai us raat pe likkhen afsana is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana han umr ka sath nibhane ke the ahd bahut paiman bahut wo jin pe bharosa karne mein kuchh sud nahin nuqsan bahut wo nar ye kah kar dur hui 'majburi sajan majburi' ye wahshat se ranjur hue aur ranjuri si ranjuri? us roz hamein malum hua us shakhs ka mushkil samjhana is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana go aag se chhati jalti thi go aankh se dariya bahta tha har ek se dukh nahin kahta tha chup rahta tha gham sahta tha nadan hain wo jo chhedte hain is aalam mein na-danon ko us shakhs se ek jawab mila sab apnon ko beganon ko 'kuchh aur kaho to sunta hun is bab mein kuchh mat farmana' is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana ab aage ka tahqiq nahin go sunne ko hum sunte the us nar ki jo jo baaten thin us nar ke jo jo qisse the ek sham jo us ko bulwaya kuchh samjhaya bechaare ne us raat ye qissa pak kiya kuchh kha hi liya dukhyare ne kya baat hui kis taur hui akhbar se logon ne jaana is basti ke ek kuche mein ek insha nam ka diwana har baat ki khoj to thik nahin tum hum ko kahani kahne do us nar ka nam maqam hai kya is baat pe parda rahne do hum se bhi to sauda mumkin hai tum se bhi jafa ho sakti hai ye apna bayan ho sakta hai ye apni katha ho ho sakti hai wo nar bhi aakhir pachhtai kis kaam ka aisa pachhtana? is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana