ishq kahani

By pirzada-qasimJune 30, 2021
main be-qimat tum be-qimat
phir
ye apni ishq-kahani kaun sunega
sab ke apne apne qisse


sab ki apni apni baaten
sab ki apni apni sohbat
sab ki apni apni raaten
sab ke gham bas zati gham hain


sab ki khushiyan zati khushiyan
hum kahte hain wo be-qimat
wo kahte hain hum be-qimat
aise mein


kis kis ki kahani
kis ki zabani
kaun sunega
meri tumhaari ishq-kahani kaun sunega


sab be-qimat
80584 viewsnazmEnglish