'ishq hira hai guhar hai to kabhi patthar hai 'ishq aaghaz se anjam talak rahbar hai 'ishq insan ke liye besh-baha daulat hai 'ishq mil jae jise us ki badi qismat hai 'ishq haiwan ko insan bana deta hai 'ishq har kaam ko aasan bana deta hai 'ishq kho jae to insan bikhar jata hai 'ishq mil jae to shaitan sanwar jata hai 'ishq andaz-e-mohabbat ka kanwal hota hai 'ishq tahrir jo ban jae ghazal hota hai 'ishq har tarah se pahchan bana leta hai 'ishq ka martaba duniya mein bahut uncha hai 'ishq iman hai farman hai faizan bhi hai 'ishq pahchan hai mizan hai nuqsan bhi hai 'ishq mahrum hai mazlum hai masmum bhi hai 'ishq ki sare zamane mein bahut dhum bhi hai 'ishq tafsil hai tashkil hai tamsil bhi hai 'ishq tashil hai tamil hai takmil bhi hai 'ishq ma'bud hai maqsud hai maujud bhi hai 'ishq mahdud hai mahmud hai mashhud bhi hai 'ishq tamhid hai taqlid hai tanqid bhi hai 'ishq taid hai tajdid hai khurshid bhi hai 'ishq talib bhi hai ghaalib bhi hai tahzib bhi hai 'ishq wajib bhi hai rahib bhi hai targhib bhi hai 'ishq taqdis hai aur bais-e-aghlat bhi hai 'ishq afsos hai amraaz hai muhtat bhi hai 'ishq se zakhm jo mil jae sanbhaale rakhiye 'ishq mit jae to yaadon ko ujale rakhiye