is mein meri to koi ghalati nahin main jab paida hui to kisi ne mujh ko zinda dafnaya nahin jab mere par-o-baal nikalna shurua hue tab kisi ne mere paron ko nahin kata jab main ne bolna sikha tab kisi ne meri zaban nahin kati jab main ne apne pairon par chalna sikha tab kisi ne mere panw nahin kate main ne jab dekhna shurua kiya kisi ne meri aankhen nahin nochen main sochti thi jab kisi ne mujhe pagal nahin kaha main likhti thi jab kisi ne mujh se qalam kyun nahin chhina mere janm se ab tak jo hota raha wo kisi ne nahin badla ab mein jaisi hun use kaise badal lun main jaisi bhi hun us mein meri to koi ghalati nahin