ittihadi
By nashtar-amrohviJune 17, 2022
na hum hain ahl-e-siyasat na hum fasadi hain
husain wale hain hum log ittihadi hain
hasab nasab bhi hamara ali se milta hai
janab-e-fatima-zahra hamari dadi hain
murad milti hai bab-ul-murad se yun bhi
ali ke ladle abbas khud muradi hain
bas ek khutba-e-zainab ali ke lahje mein
yazidiyat ki jaden dur tak hila di hain
janab-e-hazrat-e-abbas ki qasam 'nashtar'
khuda ke fazl se hum zabt ke bhi aadi hain
husain wale hain hum log ittihadi hain
hasab nasab bhi hamara ali se milta hai
janab-e-fatima-zahra hamari dadi hain
murad milti hai bab-ul-murad se yun bhi
ali ke ladle abbas khud muradi hain
bas ek khutba-e-zainab ali ke lahje mein
yazidiyat ki jaden dur tak hila di hain
janab-e-hazrat-e-abbas ki qasam 'nashtar'
khuda ke fazl se hum zabt ke bhi aadi hain
19515 viewsnazm • English