jab aankh khuli meri

By January 1, 2017
jab aankh khuli meri
suraj ka zirah-baktar
chamka to main ghabraya
tuti hui khidki se
lahraata hua neza


kaunde ki tarah aaya
main dard se chillaya
honton ne padhe mantar
simab si poron ne


ek potli abrak ki
chhidki mere chehre par
aur kirnon ka ek chhinta
mara meri aankhon par


aankhen meri chundhyain
kuchh bhi na nazar aaya
jab aankh khuli meri
dekha ki har ek jaanib


zartar si kirnon ka
ek zard samundar tha
aur zard samundar mein
chandi ki pahadi par


main ped tha sone ka
shakhon mein meri har su
jhankar thi patton ki
udti hui chidiyon ki


ya aag ki daliyon ki
ek dar si aai thi
aur mujh mein samai thi
qadmon ke tale mere


zanjir thi lamhon ki
mere zirah-baktar se
jo kaunda lapakta tha
taron ke jharokon tak


pal bhar mein pahunchta tha
main jism ke marqad se
bahar bhi tha andar bhi
main khud hi pahadi tha


aur khud hi samundar bhi
44479 viewsnazmEnglish