jab mera ji chahe main jadu ke khel dikha sakta hun aandhi ban kar chal sakta hun baadal ban kar chha sakta hun hath ke ek ishaare se pani mein aag laga sakta hun rakh ke dher se taza rangon wale phul uga sakta hun itne unche aasaman ke tare tod ke la sakta hun meri umr to bas aaise hi khel dikhate guzri hai apni sans ke shoalon se gulzar khilate guzri hai jhuti sachchi baaton ke bazar sajate guzri hai patthar ki diwaron ko sangit sunate guzri hai apne dard ko duniya ki nazron se chhupate guzri hai