apne ehsas ke aaine mein khud ko dekha ek simatta hua saya hun bikharta hua phul ek tapta hua sahra hun sulagta hua shahr dard ka sarw-e-rawan dukh ka shajar dasht-e-khulus ek fankar hun sarmaya mera khun-e-jigar zindagi barha shoalon mein giraftar hui barha fikr-e-dil-o-jaan bhi sharar-bar hui apne mahaul ke mear pe khud ko parkha ek mujrim hun mera jurm wafa ki tashhir azmat-e-zulm ka munkir hun shab-e-gham ka harif aadamiyyat ka taqaddus hai mere fan ka jamal haq-parasti mere afkar ka sar-chashma hai ek mushrik hun mera shirk mohabbat sab se ek kafir hun mera kufr sadaqat pe yaqin ye dar-o-baam-e-hawas tamkanat-e-qasr-e-sitam raat kat jaegi khul jaega zulmat ka bharam