jahez
By farah-shahidJune 7, 2021
jahez ek daur mein tohfa tha
lekin ab ye lanat hai
ki jo nasur banta ja raha hai
zamane mein isi lanat ka ab
dastur banta ja raha hai
bint-e-hawwa ko jo sim-o-zar ke do paldon mein tola ja raha hai
kis liye aakhir
wo babul kya kare jis ki jawan beti ke baalon mein
jawan sali mein hi chandi utarti ja rahi hai
aur budhi man ki aankhon mein ye jo moti chamakte hain
to kya un ki koi qimat nahin duniya ki nazron mein
inhi rasmon ki jakdan mein
siyah chadar ki bakkal mar kar nadar ki khamosh beti
ghar mein baithi bebasi ki bolti taswir banti ja rahi hai
yahi behtar hai
patthar ke zamane mein chale jaen
unhi rasmon ko apna len
ki beti junhi paida ho use dargor kar aaen

38887 viewsnazm • English