ek din ek mor se kahne lagi ye morni khush-sada hai khush-ada hai khush-qadam khush-rang hai is bayaban tak magar afsos to mahdud hai jab kabhi main dekhti hun mahw tujh ko raqs mein ek khwahish be-tarah karti hai mujh ko be-qarar kash tujh ko dekh sakti aankh har zi ruh ki kash makhluq-e-khuda ho tere fan se faizyab mor bola ai meri ham-raqs meri ham-nawa tu nahin waqif ki main ghuma phira hun kis qadar kitne jangal main ne jhanke kitni dekhin bastiyan an-ginat aankhon ne dekha mera fan mera hunar dad lena dekhne walon se tha maqsad mera is tarah goya unhen taskhir kar leta tha main dekhta jab un ki aankhon mein sataish ki chamak bas usi lamhe paron ko mere lag jate the par phir hua yun ek din dauran-e-raqs ghaaliban shishe ka tukda ya koi kankar chubha raqs to kya chalne phirne se hua mazur main rafta rafta ho gaya ahl-e-jahan se dur main baad muddat ek din pahuncha jo main pindal mein dekhta kya hun ki ek taus-e-khush-qad khush-jamal mujh se behtar aur kitna mukhtalif kar raha tha apne fan se ahl-e-majlis ko nihaal der tak dekha kiya main us ko auron ki tarah yun laga jaise wo tha meri jagah meri tarah karwan-e-zindagi rukta nahin waqt ka dariya kabhi rukta nahin aaj main kal koi parson koi aur apna apna waqt apna apna daur raqs karta hun agar main ab to bas apne liye ya faqat tere liye tere liye tere liye