jashn-e-azadi-e-hind hai ye dhaj tirange ki dekho nirali hum ne uncha kiya jab ye parcham aasman ne bhi gardan jhuka li desh bhagton ko shardhanjli ho desh bhaarat ki izzat bacha li aazadi-e-watan ke liye kaam kar gae har chaal samraj ki nakaam kar gae tarikh-e-hind mein wo bada kaam kar gae jo musibat unhen pesh aai khush-dili se gale wo laga li desh bhagton ko shardhanjli ho desh bhaarat ki izzat bacha li umda hua ghulami ka baadal hata diya suraj wo ban ke chamke andhera hata diya kirnon se apni sara watan jagmaga diya har taraf aasman-e-watan par chha rahi thi ghata kali kali desh bhagton ko shardhanjli ho desh bhaarat ki izzat bacha li wo mauj-e-tez dekhiye manjdhaar dekhiye aapas mein ekta ka chamatkar dekhiye mil-jul ke beda kar diya ye par dekhiye mil ke hindu musalman sab ne bich tufan se kashti nikali desh bhagton ko shardhanjli ho desh bhaarat ki izzat bacha li maulana in mein koi tha koi mahatma sab ne kiya hai mil ke ghulami ka khatma sab ko duaen deti hai bhaarat ki aatma wo ghulami ki jo hathkadi thi sab ke hathon ne wo tod dali desh bhagton ko shardhanjli ho desh bhaarat ki izzat bacha li